faza-e-adamiyat ko sanwarne hi nahin dete
siyasat-dan dilon ke zaKHm bharne hi nahin dete
zamana wo bhi tha jab hadse ka Dar satata tha
magar ab hadse logon ko Darne hi nahin dete
kuchh hum ne KHwab aise pal rakkhe hain ki jo hum ko
haqiqat ki zamin par panw rakhne hi nahin dete
ye mana ishq se banti hai jannat zindagi lekin
masail zindagi se ishq karne hi nahin dete
guzargahon ke aage manzilen aawaz deti hain
magar Thahre hue lamhe guzarne hi nahin dete
'bashar' be-rahm hain ye parbaton jaise usul apne
kisi ke dil ki wadi mein utarne hi nahin dete
Ghazal
Faza-e-adamiyat ko sanwarne hi nahin dete
Charan Singh Bashar