اردو हिंदी
Faujiyon ke sar to dushman ke sipahi le gae | Shaahi Shayari
faujiyon ke sar to dushman ke sipahi le gae

Ghazal

Faujiyon ke sar to dushman ke sipahi le gae

Akhlaque Bandvi

;

faujiyon ke sar to dushman ke sipahi le gae
hath jo qimat lagi zill-e-ilahi le gae

jurm mera sirf itna tha ki main mujrim na tha
qaid tak mujh ko subut-e-be-gunahi le gae

ab wahi duniya mein Thahre amn-e-alam ke amin
jo aman ki ja tak asbab-e-tabahi le gae

shikwa-e-jalwa-numai sirf un ke lab pe hai
jo teri mahfil mein apni kam-nigahi le gae

tum haram se le gae shab ki siyahi aur hum
mai-kade se bhi ziya-e-subh-gahi le gae

main idhar 'aKHlaq' ki taqsim mein masruf tha
log udhar meri ada-e-kaj-kulahi le gae