fauj-e-mizhgan ka kuchh irada hai
zulf-e-pechan ne lam bandha hai
lab-e-rangin ko kis ne chusa hai
dekh lo ye aqiq jhuTa hai
kaun aaya chhaDi sawari se
ne sawari ka kis ki shohra hai
dant khaTTe hue anaron ke
un ka seb-e-zaqan ye miTha hai
bosa-e-lab diya jo bigDe ghair
phuT mein tum ne qand Dala hai
kaTte ho hamare nam ke harf
KHub shosha hai zor-e-fiqara hai
wasf-e-qad ke do-chand hain mazmun
koi misra nahin hai dohra hai
dant kanghi ka he magar mujh par
mar-e-gesu jo kaTe khata hai
KHub hai wasl-e-ashiq-o-mashuq
ye bhi joDi ka ek nusKHa hai
zaKHm-e-dil par namak chhiDak-wao
zaiqa mere munh ka phika hai
ghair ke ghar baja rahe ho sitar
tum ne dar-parda ThaT badla hai
koi taza kuan jhakaenge
in dinon iKHtilat gahra hai
chuTki angiya mein tum na Takwao
gore sine mein nil paDta hai
bosa honTon ka mil gaya kis ko
dil mein kuchh aaj dard miTha hai
chain se hain faqir baad-e-fana
qabr ke bhi sirhane takiya hai
ai 'munir' aap kyun hain aazurda
ye to kahiye mizaj kaisa hai
Ghazal
Fauj-e-mizhgan ka kuchh irada hai
Muneer Shikohabadi