اردو हिंदी
Fasurda ho ke maiKHane se nikle | Shaahi Shayari
fasurda ho ke maiKHane se nikle

Ghazal

Fasurda ho ke maiKHane se nikle

Akhtar Ansari Akbarabadi

;

fasurda ho ke maiKHane se nikle
yahan bhi apne begane se nikle

shafaq ka rang gahra kar gae aur
jo shoale mere kashane se nikle

zara ai gardish-e-dauran Thaharna
wo nikle rind maiKHane se nikle

gham-e-dil ka asar har bazm mein hai
sab afsane us afsane se nikle

kiya aabaad virane ko hum ne
hamin aabaad virane se nikle

jo pahunche dar tak mansur the wo
hazaron rind maiKHane se nikle

nikalte hum na gham-KHane se 'aKHtar'
hasin mausam ke bahkane se nikle