fasurda hai ilm harf-ha-e-kitab bhi bujh ke rah gae hain
hai rakh hi rakh madrason mein nisab bhi bujh ke rah gae hain
dilon mein shoale sisak rahe hain jami hui barf hai labon par
sawal bhi bujh ke rah gae hain jawab bhi bujh ke rah gae hain
nahin hai mahfil mein koi garmi hue hain dil sard mutribon ke
dhuan nikalta hai ungliyon se raubab bhi bujh ke rah gae hain
charagh-e-saghar se lau laga kar na paya kuchh bhi fasurdagi ne
ki gham to ye hai ki shoala-ha-e-sharab bhi bujh ke rah gae hain
giraft-e-tufan mein aa gaya hai KHayal ka shoala-posh daman
rahe haqiqat hi jin se raushan wo KHwab bhi bujh ke rah gae hain
bujha bujha sa hai qalb-e-sahra bujhi bujhi si hai reg-e-taban
fareb khaegi tishnagi kya sarab bhi bujh ke rah gae hain
hai munfail zauq-e-shoala-chini araq araq hai jabin-e-KHirman
kahan se aaenge barq-pare sahab bhi bujh ke rah gae hain
Ghazal
Fasurda hai ilm harf-ha-e-kitab bhi bujh ke rah gae hain
Parvez Shahidi