اردو हिंदी
Fasl-e-junun mein daman-o-dil chaak bhi nahin | Shaahi Shayari
fasl-e-junun mein daman-o-dil chaak bhi nahin

Ghazal

Fasl-e-junun mein daman-o-dil chaak bhi nahin

Saleem Faraz

;

fasl-e-junun mein daman-o-dil chaak bhi nahin
kya dasht hai ki uDti kahin KHak bhi nahin

jina tera muhaal to hona hi tha ki tu
is daur ke hisab se chaalak bhi nahin

raqs-e-junun to KHair baDi baat hai magar
ab shahar mein numaish-e-idrak bhi nahin

achchha hua ki jald hi tu ne utar di
jachti hai sab pe dard ki poshak bhi nahin

dariya kuja ki tishna-labon ke liye to ab
raste mein koi dida-e-namnak bhi nahin

wo din bhi the ki aankh bichhate the barg-o-gul
ab mujh pe multafit KHas-o-KHashak bhi nahin

dhul jaen jis ke lams se dil ki kasafaten
banhon mein wo tera badan-e-pak bhi nahin

kyun sogwar ab bhi hai marg-e-zamir par
wo waqia tha utna alamnak bhi nahin

ek umr se kinara-e-be-chaaragi pe hun
dariya chaDha hai aur main tairak bhi nahin

kyun KHushk ho gaya shajr-e-arzu 'salim'
mausam tha jabki zist ka saffak bhi nahin