fasl-e-gul mein nain baghule uThte viranon ke beach
KHak diwanon ki wajdi hai bayabanon ke beach
wo jala majnun ke dil ka koela aati thi phunk
warna laila kahe ko jati bayabanon ke beach
jaise girhen de koi zunnar ka subha banae
pur hai kufr-e-ishq tyun iman ke danon ke beach
pur hain mushk-e-tir-baKHti se meri sab dil ke ghaw
jis tarah laTke hai zulf-e-dil-baran shanon ke beach
ruh meri bhi nahin chhoDegi rang-e-sair-e-bagh
jun bhari rahti hai bu-e-gul gulistanon ke beach
fasl-e-gul aai ki zanjiron ke sar par nale kar
nach uThe diwane dastak de ke zindanon ke beach
lal ho ishrat se jun gul hans uThe hain mere gosh
yar ke aane ki jun pahunchi KHabar kanon ke beach
har suKHan ko faKHr hai 'uzlat' tawajjoh se meri
hun imam-e-waqt dilli ke suKHan-danon ke beach
Ghazal
Fasl-e-gul mein nain baghule uThte viranon ke beach
Wali Uzlat