fasl-e-gul mein har ghaDi ye abr-o-baran phir kahan
dekh lo KHush ho ke yaran ye bahaaran phir kahan
hai saadat qumriyo us ke tasadduq ho chalo
warna koi din ko ye sarw-e-KHiraman phir kahan
aaj aati hai nazar mujh dil ke shishe mein pari
dekh lo lahza mein ye surat numayan phir kahan
main chaman mein pi ke mai ko is liye karta hun sair
kaun jaane saqiya ye gul-azaran phir kahan
qaul hai hazrat 'yaqin' ka tab to yun kahta hai 'nain'
bhar ke dil ro lijiye ye chashm-e-giryan phir kahan
Ghazal
Fasl-e-gul mein har ghaDi ye abr-o-baran phir kahan
nayan sukh