fasl-e-gul kya kar gai aashufta samanon ke sath
hath hain uljhe hue ab tak garebanon ke sath
tere mai-KHanon ki ek laghzish ka hasil kuchh na puchh
zindagi hai aaj tak gardish mein paimanon ke sath
dekhna hai ta-ba-manzil ham-safar rahta hai kaun
yun to aalam chal paDa hai aaj diwanon ke sath
un hasin aankhon se ab lillah aansu puchh lo
tum bhi diwane hue jate ho diwanon ke sath
zindagi nazr-e-haram to ho chuki lekin 'surur'
har aqidat qaza-e-alam sanam-KHane ke sath
Ghazal
Fasl-e-gul kya kar gai aashufta samanon ke sath
Suroor Barabankvi