fasl-e-gul kuchh bhi nahin baad-e-saba kuchh bhi nahin
teri mahfil ho to jannat ki faza kuchh bhi nahin
jaan-o-dil kar diye hum ne teri rahon mein nisar
aur hamare liye tohmat ke siwa kuchh bhi nahin
pakDe jaenge hamin hashr mein be-jurm-o-qusur
aur gunahgar ko duniya mein saza kuchh bhi nahin
un ke dil par mera ehsas-e-sitam bhi hai garan
ghair ki shoala-bayani ka gila kuchh bhi nahin
jam-e-jam ho kahin gardish mein magar phir bhi 'hayat'
chashm-e-saqi se na chhilke to maza kuchh bhi nahin

Ghazal
Fasl-e-gul kuchh bhi nahin baad-e-saba kuchh bhi nahin
Masooda Hayat