اردو हिंदी
Fasl-e-gul ki hai aabru humse | Shaahi Shayari
fasl-e-gul ki hai aabru humse

Ghazal

Fasl-e-gul ki hai aabru humse

Mohammad Mansha ur Rahman Khan Mansha

;

fasl-e-gul ki hai aabru hum se
hum se hai sail-e-rang-o-bu hum se

husn-e-fitrat ke raazdar hain hum
phul karte hain guftugu hum se

farsh gul par ba-waqt-e-subh-e-nasim
aa ke milti hai ba-wazu hum se

hum shahid-e-gham-o-alam hi sahi
zindagi to hai surKH-ru hum se

nam saqi ka ho gaya warna
mai-kade mein hai ha-o-hu hum se

bazm-e-rindan mein ab bhi baqi hai
waqat-e-baada-o-subu hum se

hum se hai 'dard'-o-'dagh' ki azmat
hum se hai nam-e-'arzu' hum se

sikhna ho to sikh le 'mansha'
koi andaz-e-justuju hum se