fasl-e-gul KHak hui jab to sada di tu ne
ai gul-e-taza bahut der laga di tu ne
teri KHushbu se mere dil mein khile dard ke phul
so gai thi jo bala phir se jaga di tu ne
meri aankhon mein andhere ke siwa kuchh bhi na tha
is KHarabe mein ye kya shama jala di tu ne
zindagi bhar mujhe jalne ke liye chhoD diya
sabz patton mein ye kya aag laga di tu ne
koi surat bhi rihai ki nahin rahne di
aisi diwar pe diwar bana di tu ne
main tere hath na chumun to ye na-shukri hai
daulat-e-dard tamanna se siwa di tu ne
kabhi kah dun to zamana mera dushman ho jae
dil ko wo baat bhi chup rah ke bata di tu ne
wo tere pas se chup-chap guzar kaise gaya
dil-e-betab qayamat na uTha di tu ne
ise kahne ke liye lafz kahan se aae
dastan-e-shab-e-gham kaise suna di tu ne
us ko bhi us ki nigahon mein bahut KHar kiya
apni tauqir bhi miTTi mein mila di tu ne
kash wapas tujhe goyai na milti 'shahzad'
bol kar aaj bahut baat baDha di tu ne
Ghazal
Fasl-e-gul KHak hui jab to sada di tu ne
Shahzad Ahmad