fasl-e-gul kab luTi nahin malum
kab bahaar aai thi nahin malum
hum bhaTakte rahe andhere mein
raushni kab hui nahin malum
kab wo guzre qarib se dil ke
nind kab aa gai nahin malum
dard jab jab uTha hua mahsus
choT kab kab lagi nahin malum
bebasi jis ki zist ho us ko
zist ki bebasi nahin malum
naz sajdon pe hai hamein lekin
nazish-e-bandagi nahin malum
apni haalat pe tere wahshi ko
kyun hansi aa gai nahin malum
hosh aaya to mai-kada na raha
hae kis waqt pi nahin malum
meri jaanib wo dekh kar bole
hai koi ajnabi nahin malum
daur-e-hazir ki bazm mein 'bekal'
kaun hai aadmi nahin malum
Ghazal
Fasl-e-gul kab luTi nahin malum
Bekal Utsahi