fasl-e-gul ka gham dil-e-nashad par baqi raha
hashr lag ye muzlima sayyaad par baqi raha
khol kar zulfon kun aaya sarw-qad jab bagh mein
naqsh-e-hairat turra-e-shamshad par baqi raha
jal gaya parwana pan mujh sa samundar-KHu nahin
ye suKHan shagird ka ustad par baqi raha
aashiqi mein kab rawa hai is tarah ki zalimi
KHun-e-shirin gardan-e-farhad par baqi raha
rah gae zauq-e-tabassum mein taghaful ke shahid
bismilon ka KHun-baha jallad par baqi raha
ulfat-e-laila ne majnun ka miTaya sab nishan
nam us ka safha-e-ijad par baqi raha
khol chashm-e-lutf de jagir maqsud-e-'siraj'
shama-ru parwana-dil sayyaad par baqi raha
Ghazal
Fasl-e-gul ka gham dil-e-nashad par baqi raha
Siraj Aurangabadi

