اردو हिंदी
Fasl-e-gul fasl-e-KHizan jo bhi ho KHush-dil rahiye | Shaahi Shayari
fasl-e-gul fasl-e-KHizan jo bhi ho KHush-dil rahiye

Ghazal

Fasl-e-gul fasl-e-KHizan jo bhi ho KHush-dil rahiye

Ali Sardar Jafri

;

fasl-e-gul fasl-e-KHizan jo bhi ho KHush-dil rahiye
koi mausam ho har ek rang mein kaamil rahiye

mauj o girdab o talatum ka taqaza hai kuchh aur
rahiye mohtat to bas ta-lab-e-sahil rahiye

dekhte rahiye ki ho jae na kam shan-e-junun
aaina ban ke KHud apne hi muqabil rahiye

un ki nazron ke siwa sab ki nigahen uTThin
mahfil-e-yar mein bhi zinat-e-mahfil rahiye

dil pe har haal mein hai sohbat-e-na-jins haram
haif-sad-haif ki na-jinson mein shamil rahiye

dagh sine ka dahakta rahe jalta rahe dil
raat baqi hai jahan tak mah-e-kaamil rahiye

jaaniye daulat-e-kaunain ko bhi jins-e-haqir
aur dar-e-yar pe ek bose ke sail rahiye

aashiqi shewa-e-rindan-e-bala-kash hai miyan
wajh-e-shaistagi-e-KHanjar-e-qatil rahiye