fasl-e-gul aai hai kal aur hi saman honge
mere daman mein tere dast-o-gareban honge
sab ye kafir hain hasinon ki na sun tu ai dil
chaar din baad yahi dushman-e-iman honge
kis tarah jaenge manea hai hamein KHauf-e-mizaj
zulf pur-KHam hai to kuchh wo bhi pareshan honge
girya anjam-e-tabassum hai na hans ai ghafil
KHun roenge wahi zaKHm jo KHandan honge
yaad aaega pas-e-marg hamara ye kamal
haal khul jaega jab KHak mein pinhan honge
KHana-zadon ko kahan qaid-e-mohabbat se faragh
hum wo bulbul hain yahin KHak-e-gulistan honge
daur-e-har-naKHl karenge sifat-e-gard 'nasim'
hum pas-e-marg bhi qurban-e-gulistan honge
Ghazal
Fasl-e-gul aai hai kal aur hi saman honge
Naseem Dehlvi