fasl-e-bahaar aai hai paimana chahiye
bulbul ke sath nara-e-mastana chahiye
ushshaq-e-shama-e-husn ko kya kya na chahiye
parwaz-e-rang ko par-e-parwana chahiye
piri mein raat din hamein paimana chahiye
rasha ke badle laghzish-e-mastana chahiye
wahshat mein baat aql ki sunna na chahiye
kanon mein pamba-e-kaf-e-diwana chahiye
kanghi banaun chob-e-asa-e-kalim ki
tasKHir mar-e-gesu-e-jaanana chahiye
dariya-e-wahdat-o-chaman-e-dahr se hamein
durr-e-yagana sabza-e-begana chahiye
aab-o-ghiza-e-ashiq-e-dandan muhaal hai
roz aab-o-dana-e-dur-e-yakdana chahiye
main sail-e-kamal-e-junun hun mere liye
kajkol kasa-e-sar-e-diwana chahiye
asrar-e-haq hain dil mein magar dil hai be-KHabar
is ganj ke liye yahi virana chahiye
sair-e-bahisht chahte hain nashshe mein mudam
maston ko chashm-e-hur ka paimana chahiye
go be-naqab rahte ho parde mein hai hijab
dar-parda hum se aap ko chhupna na chahiye
aashiq bana ke hum ko jalate hain shama-ru
parwana chahiye unhen parwana chahiye
ai pir-e-mai-farosh dar-e-tauba ki tarah
wa roz-e-hashr tak dar-e-mai-KHana chahiye
ta-marg aashna na hua ek sabza rang
turbat par apni sabza-e-begana chahiye
dushman hai wo to tum bhi na ho dost ai 'munir'
apna bura na chahiye achchha na chahiye
Ghazal
Fasl-e-bahaar aai hai paimana chahiye
Muneer Shikohabadi