fasl aisi hai ulfat ke daman tale
hum jalen tum jalo sari duniya jale
tap ke kundan ki manind nikhra junun
jis qadar gham baDha baDh gae hausle
dil mein phaili hai yun raushni yaad ki
jaise viran mandir mein dipak jale
jashn se meri barbaadiyon ka chalo
dosto aao shishe mein shoala Dhale
har-nafas jaise jine ki tazir hai
kitne dushwar hain umr ke marhale
hum ulajhte rahe falsafi ki tarah
aur baDhte gae waqt ke masale
moD sakte hain duniya ka ruKH aaj hi
aap se kuchh hasin hum se kuchh manchale
waqt mujh se mera hafiza chhin le
aag mein koi yaadon ki kab tak chale
KHanda-e-gul se 'sahir' na bahlenge hum
taza-dam mein junun ke abhi walwale
Ghazal
Fasl aisi hai ulfat ke daman tale
Sahir lakhnavi