fasil-e-shahr ko jab tak gira nahin denge
hamein ye log kabhi rasta nahin denge
tamam umr jo chehre ko apne paDh na sake
hum un ke hathon mein ab aaina nahin denge
ghuTan ho aisi ki tum khul ke sans le na sako
tumhein hum is se ziyaada saza nahin denge
tujhe Duboenge KHud tere hashiya-bardar
hum apni rah se tujh ko haTa nahin denge
ye bazm-e-sher-o-adab kab kisi ki hai miras
jo nasl gungi ho hum jaeza nahin denge
wo jin ke nam se hum zahr pi gae 'nayyar'
hum un ke haq mein kabhi bad-dua nahin denge

Ghazal
Fasil-e-shahr ko jab tak gira nahin denge
Salahuddin Nayyar