اردو हिंदी
Fasil-e-shab pe taron ne likha kya | Shaahi Shayari
fasil-e-shab pe taron ne likha kya

Ghazal

Fasil-e-shab pe taron ne likha kya

Vikas Sharma Raaz

;

fasil-e-shab pe taron ne likha kya
main mahw-e-KHwab tha tum ne paDha kya

faza mein ghul gae hain rang kitne
zara si dhup se baadal khula kya

hawaon ko ulajhne se hai matlab
meri zanjir kya teri rida kya

charagh ek dusre se puchhte hain
sabhi ho jaenge rizq-e-hawa kya

badan mein qaid ho kar rah gai hai
hamari ruh ka tha muddaa kya

jise bhi dekhiye wo nind mein hai
hamare shahr ko aaKHir hua kya