fasil-e-sabr mein rauzan banana chahti hai
sipah-e-taish mere dil ko Dhana chahti hai
lipaT lipaT ke shajar ko lubhana chahti hai
har ek bel mohabbat jatana chahti hai
riyal-e-KHwab luTati hai donon hathon se
amir-e-shauq mujhe aazmana chahti hai
mera hi sina kushada hai chahaton ke tain
tufang-e-dard mera hi nishana chahti hai
main apne aap ko bhi dekhne se qasir hun
ye sham-e-hijr mujhe kya dikhana chahti hai
khula ki sahil-e-dariya pe main pahunch hi gaya
to ye ana mujhe sahra mein lana chahti hai
numu ko rok qalam ko lagam de 'arshad'
ki ye ghazal tere parde uThana chahti hai
Ghazal
Fasil-e-sabr mein rauzan banana chahti hai
Arshad Abdul Hamid