fasil-e-KHwab pe siDhi lagane wala hun
main ek raaz se parda uThane wala hun
taKHaiyyulat ke dane bikher kar har-su
zamin-e-aql pe hairat ugane wala hun
meri nazar mein ye jiwan hai jal-pari jaisa
main shoKH rang ke sagar dikhane wala hun
guman ki had se bhi aage paDaw Dala hai
bahut ruka to faqat shab batane wala hun
main aainon ko tajjub mein Dal kar ek din
tamam aks nazar se churane wala hun
main ho gaya hun bahut mutmain suhulat mein
so mushkilat mein KHud ko phansane wala hun
fasane KHub gaDhe hain bina kahani ke
ghazal bhi ishq se baala sunane wala hun
Ghazal
Fasil-e-KHwab pe siDhi lagane wala hun
Salman Sarwat