اردو हिंदी
Fasil-e-jism gira de makan-e-jaan se nikal | Shaahi Shayari
fasil-e-jism gira de makan-e-jaan se nikal

Ghazal

Fasil-e-jism gira de makan-e-jaan se nikal

Abhishek Shukla

;

fasil-e-jism gira de makan-e-jaan se nikal
ye intishaar-zada shahr hai yahan se nikal

teri talash mein phirte hain aaftab kai
so ab ye farz hai tujh par ki saeban se nikal

tamam shahr pe ek KHamushi musallat hai
ab aisa kar ki kisi din meri zaban se nikal

maqam-e-wasl to arz-o-sama ke bich mein hai
main is zamin se niklun tu aasman se nikal

main apni zat mein tarikiyan sameTe hun
tu ek charagh jala aur ab yahan se nikal

kaha tha mujh se bhi ek din hawa-e-sahra ne
meri panah mein aa ja ghubar-e-jaan se nikal