fasil-e-dil mein dar kiya ki rabta bana rahe
ise KHuda ka ghar kiya ki rabta bana rahe
zamin pe apne jism ki thakan bichha ke so gaya
bharosa KHak par kiya ki rabta bana rahe
sabhi gharon mein aap hi muqim tha isi liye
mujhe bhi dar-ba-dar kiya ki rabta bana rahe
wo dushmanon ki saf mein tha isi liye kalam bhi
kaman khinch kar kiya ki rabta bana rahe
use pasand aa gain palak palak pe jhaalaren
so main ne in ko tar kiya ki rabta bana rahe
main KHud-gharaz mein matlabi tabhi KHuda se pyar bhi
kisi ke nam par kiya ki rabta bana rahe
ye kuza-gar ka shauq tha tabhi to meri KHak ne
tha raqs chaak par kiya ki rabta bana rahe
kabhi main karbala gaya kabhi madina o najaf
kahan kahan safar kiya ki rabta bana rahe
Ghazal
Fasil-e-dil mein dar kiya ki rabta bana rahe
Mumtaz Gurmani