fasana-e-sitam-e-kaenat kahte hain
ye ashk-e-gham to mere dil ki baat kahte hain
wahi nigah ki jis se jahan larazta hai
hum us nigah ko raaz-e-hayat kahte hain
tulu-e-mehr-e-mubin tak nazar nahin jati
jo be-KHabar hain wo din ko bhi raat kahte hain
gul-o-bahaar ka anjam hai jinhen malum
chaman ko dam-gah-e-hadsat kahte hain
hum ahl-e-ishq hain 'shair' hamein ye hosh kahan
kise itab kise iltifat kahte hain
Ghazal
Fasana-e-sitam-e-kaenat kahte hain
Shaer Fatahpuri