fasana-e-dard-e-ishq unwan badal badal kar suna raha hun
jigar jigar mein utar raha hun nazar nazar mein sama raha hun
harim-e-naz-o-niyaz mein kya, maze mohabbat ke pa raha hun
fasana-e-aish sun raha hun fasana-e-gham suna raha hun
tumhaari mashq-e-jafa ke sadqe buland hain dil ke hausle bhi
jahan jahan choT paD rahi hai wahan wahan muskura raha hun
siraat-e-husn-e-talab mein mujh ko andheri raaton ka gham nahin hai
teri mohabbat ki raushni mein qadam main apna baDha raha hun
yaqin mano ki bijliyan bhi falak se aa kar panah lengi
chaman mein sulh-o-safa ke tinkon se aashiyana bana raha hun
falak ke daman pe chand tare nahin daraKHshan to kya 'nujumi'
hazaron arman ka KHun de kar main shab ko rangin bana raha hun

Ghazal
Fasana-e-dard-e-ishq unwan badal badal kar suna raha hun
Nujumi Balyavi