fasad-e-qalb-o-nazar hasil-e-tamasha dekh 
sawar-e-markab-e-duniya ghubar-e-duniya dekh 
tamam kar-e-ajal hai numud-e-past-o-faraaz 
nawishta-e-sar-e-kohsar-o-bagh-o-dariya dekh 
har imtihan hai nae sanehe ka pas-manzar 
dikhai kuchh nahin deta to rah-e-farda dekh 
wo apni tegh se KHud hi lahuluhan hua 
mere badan pe to har zaKHm hai usi ka dekh 
ajab nahin ki ho diwar nuqta-e-mauhum 
makan ho ki makin do dilon ka milna dekh 
jo ho sake nigah-e-aib-ju utar ke phenk 
kamal-e-hairat-o-fitrat jamal-e-zeba dekh 
kabhi kabhi nigah-e-sard ho KHumar-alud 
kabhi kabhi dil-e-be-mehr ko taDapta dekh 
kabhi kabhi sahi uD jae hosh ka daman 
kabhi kabhi to ye kaifiyyat-e-nazara dekh 
KHayal dil se nazar hai KHayal se nazuk 
zara sambhaal ke guldasta-e-tamanna dekh 
ye waqia hai ki KHushbu-e-mushk aati hai 
bala-e-jaan sar-e-bazar mujh ko ruswa dekh
        Ghazal
Fasad-e-qalb-o-nazar hasil-e-tamasha dekh
Syed Amin Ashraf

