farzana hun aur nabz-shanas-e-do-jahan hun
diwana hun aur be-KHabar-e-sud-o-ziyan hun
haalanki main har waqt wahin hun wo jahan hain
wo sochte rahte hain main kya jaane kahan hun
meri hi taraf hai nigaran waqt ki dewi
har ahd mein har daur mein taqdir-e-jahan hun
muhtaj-e-tawajjoh meri har nargis-e-maKHmur
ai dost jawan hun main jawan hun main jawan hun
mujh hi se ibarat hai ye tanzim-e-gulistan
main KHanda-e-gul hi nahin kanTon ki zaban hun
qaem hai mujhi se mere aslaf ki azmat
main apne buzurgon ki sadaqat ka nishan hun
naghmon ne mere dhum macha di hai chaman mein
'jawed' main ek tanz pai-e-nauha-giran hun
Ghazal
Farzana hun aur nabz-shanas-e-do-jahan hun
Zuhoor-ul-Islam Javed