farz barson ki ibaadat ka ada ho jaise
but ko yun puj rahe hain ki KHuda ho jaise
ek pur-pech ghina ek hariri naghma
hae wo husn ki jangal ki sada ho jaise
ishq yun wadi-e-hijran mein hua mahw-e-KHiram
KHarzaron mein koi aabla-pa ho jaise
aarizon par wo tere tabish-e-paiman-e-wafa
chandni raat ke chehre pe haya ho jaise
is tarah dagh damakte hain dil-e-wahshi par
qais ke jism pe phulon ki aba ho jaise
kitna dilkash hai teri yaad ka pala hua ashk
sina-e-KHak pe mahtab gira ho jaise
ratjage wo bhi nashat-e-gham-e-mahbub ke sath
husn walon ne baDa kaam kiya ho jaise
hijr ki raat ajab rang hai paimane ka
dast mai-KHwar mein bujhta sa diya ho jaise
KHak-e-dil par tere sayyal tasawwur ka KHiram
reg-e-sahra pe rawan baad-e-saba ho jaise
aaj us shoKH ki chitwan ka ye aalam hai 'zahir'
husn apni hi adaon se KHafa ho jaise
Ghazal
Farz barson ki ibaadat ka ada ho jaise
Zaheer Kashmiri