fart-e-shauq us but ke kuche mein laga le jaega
kaba-e-maqsud tak mujh ko KHuda le jaega
kaT kar par bhi mujhe sayyaad be-qabu na chhoD
na-tawan hun baad ka jhoka uDa le jaega
rote rote jaan jawegi firaq-e-yar mein
ashk ka dariya mera murda baha le jaega
dil mera muTThi mein rakhte ho tumhaare hath se
chhin kar ek din use duzd-e-hina le jaega
misr tak pahunche na jo kanan se wo yusuf hun main
dast-e-iKHwan se chhuTa to bheDiya le jaega
ek gul us bagh ka bu-e-wafa rakhta nahin
sabza-e-begana shauq-e-ashna le jaega
wada-e-sadiq to izrail se hai dekhiye
is sire se mujh ko kab tak us sira le jaega
baghban gulshan ke darwaze ko kya rakhta hai band
kaun ghunche ki kulah gul ki qaba le jaega
ustuKHwan ujrat mein denge hum faqir ai shah-e-husn
arzi apne shauq ki tujh tak huma le jaega
kashti-e-tan bahr-e-hasti mein rahi barson tabah
par ise ek dam mein is ka naKHuda le jaega
husn dikhla dega ai but tujh mein shan allah ki
tere aage aalam apni iltija jaega
bose lega dast-e-tegh-e-qatil-e-bebak ke
'atish'-e-maqtul apna KHun-baha le jaega
Ghazal
Fart-e-shauq us but ke kuche mein laga le jaega
Haidar Ali Aatish