farsh-e-zamin pe barg-e-KHizani ka rang hai
diwar-o-dar pe naql-e-makani ka rang hai
aankhon mein tairte hain safine widaa ke
lahje mein aab-ju ki rawani ka rang hai
ifraat-e-chashm-o-lab ki kahin siDhiyon mein thi
lekin chhaton pe qaht-o-girani ka rang hai
galon pe ek lakir si sailab-e-ashk se
diwar par kahin kahin pani ka rang hai
surKHi ke sath aam sa be-sharh waqia
taswir mein ajib maani ka rang hai
qasid ke donon hath khule lab KHamosh hain
kuchh aankh mein payam-e-zabani ka rang hai
logon ne shauq-e-sabz mein pakne na di ye fasl
har-chand surKH ahd-e-jawani ka rang hai
Ghazal
Farsh-e-zamin pe barg-e-KHizani ka rang hai
Saleem Shahid