farq kuchh to chahiye aghyar se 
sirr-e-ulfat hum chhupaen yar se 
apni aankhon se agar tashbih dun 
ashk Tapke rauzan-e-diwar se 
baat un ki mo'tabar hai sach kaha 
haal mera puchhiye aghyar se 
us ki choTi mein nahin mubaf surKH 
uThe hain shole dahan-e-mar se 
dhup mein baiThun ki KHajlat se udu 
bhag jaen saya-e-diwar se 
pas se tere uThati ghair ko 
zor ho sakta jo chashm-e-zar se 
chhuTti hain munh pe kya mahtabiyan 
wasl ke din saya-e-diwar se 
sau tarah ki fikr mein taskin' paDe 
dil laga kar us but-e-ayyar se
        Ghazal
Farq kuchh to chahiye aghyar se
Taskeen Dehlavi

