farogh-e-gul se alag barq-e-ashiyan se alag
lagi hai aag yahan se alag wahan se alag
sukut-e-naz ne izhaar kar diya jis ka
wo ek baat thi pairaya-e-bayan se alag
sunen to hum bhi zara jabr-o-iKHtiyar ki baat
kahan kahan hain ye shamil kahan kahan se alag
hamara haal zamane se kuchh juda to nahin
ye dastan nahin duniya ki dastan se alag
KHizan ka zikr hi kya hai ki ai 'rawish' hum ne
bhari bahaar guzari hai gulistan se alag
Ghazal
Farogh-e-gul se alag barq-e-ashiyan se alag
Ravish Siddiqi