farogh-e-dida-wari ka zamana aaya hai 
dilon ki be-KHabari ka zamana aaya hai 
KHirad se kah do ki tanha na kaT sakegi ye rah 
junun ki ham-safari ka zamana aaya hai 
pahnao lala-o-nasrin ko taj kanTon ka 
tilism-e-KHush-nazari ka zamana aaya hai 
nawed di hai ye mahrumi-e-mohabbat ne 
dua ki be-asari ka zamana aaya hai 
nikhaar aane laga phir KHaraba-e-jaan par 
ye kis ki jalwagari ka zamana aaya hai 
kaho saba se ye warafta-haaliyan chhoDe 
shuur-e-nama-bari ka zamana aaya hai 
kahan wo daur ki yak-guna be-KHudi mangen 
surur-e-KHud-nigri ka zamana aaya hai 
bahaar lai hai ab ke payam aur hi kuchh 
dilon ki baKHiya-giri ka zamana aaya hai 
sukut-e-nim-shabi se guzar chalo 'hurmat' 
ki nala-e-sahari ka zamana aaya hai
        Ghazal
Farogh-e-dida-wari ka zamana aaya hai
Hurmatul Ikaram

