اردو हिंदी
Fariyaad hai ab lab par jab ashk-fishani thi | Shaahi Shayari
fariyaad hai ab lab par jab ashk-fishani thi

Ghazal

Fariyaad hai ab lab par jab ashk-fishani thi

Behzad Lakhnavi

;

fariyaad hai ab lab par jab ashk-fishani thi
ye aur kahani hai wo aur kahani thi

ab dil mein raha kya hai juz hasrat-o-nakaami
wo nish kahan baqi KHud jis ki nishani thi

jab dard sa tha dil mein ab dard hi KHud dil hai
han ab jo haqiqat hai pahle ye kahani thi

pur-ab si rahti thin pahle ye meri aankhen
han han isi dariya mein ashkon ki rawani thi

ai chashm haqiqat mein duniya ko ye samjha de
baqi bhi wahi nikli jo chiz ki fani thi

bulbul ne to afsana apna hi sunaya tha
gulshan ki kahani to phulon ki zabani thi

yun ashk bahae the yun kin na thin fariyaaden
ek baat chhupani thi ek baat batani thi

sada nazar aata hai ab to waraq-e-daman
ab tak mere daman par aankhon ki nishani thi

'bahzad' ka wo aalam bhi KHub hi aalam tha
'bahzad' ki nazron mein har chiz jawani thi