fariyaad bhi main kar na saka be-KHabari se
dil khinch liya us ne kamand-e-nazari se
us but ko kiya ram na soz-e-jigri se
nale mere badnam hue be-asari se
kab dil pe asar karta hai zalim ka tamalluq
milte hain kahin zaKHm-e-jigar baKHiya-gari se
hai saya-fagan taza nihaal-e-chaman-e-husn
nisbat mere dil ko hai aqiq-e-shajri se
uD jate tere hosh mere naghmon se bulbul
kar shukr ki majbur hun be-baal-o-pari se
har lutf se KHali hai farogh-e-dam-e-piri
raushan hua ye nur charagh-e-sahari se
daman ki kali baad-e-saba khol sake kab
satir nahin Darte hain kabhi parda-dari se
ulfat ka shajar sarw-qadon ki hai hari shaKH
ushshaq ko bawar hua ye be-samari se
kahte hain wo sun kar KHabar-e-rehlat-e-ushshaq
jaldi gaya kahna tha hamein kuchh safari se
hon lakh KHatar kucha-e-dilbar na chhuTega
uTh sakti hai zillat bhi kahin mard-e-jari se
nafrat nahin lazim tujhe zalim ewaz-e-rahm
baiTha hun main dil kho ke teri hila-gari se
aamil karen ek bar agar band to mai-kash
KHali karen sau martaba shishe ko pari se
kar dete hain yun harza-dara ko kamla-band
lab zaKHm ke jis tarah milen baKHiya-gari se
aghyar hue kab meri nakaami ka bais
mahrumiyan paida huin aashufta-sari se
kar ghair ko apna ki muradon ka nishan de
bekar wo paikan hai juda ho jo sari se
aamal-e-'habib'-e-jigar-afgar ki kashti
sahil pe pahunch jaegi ashkon ki tari se
Ghazal
Fariyaad bhi main kar na saka be-KHabari se
Habeeb Musvi