اردو हिंदी
Fariyaad aur tujhko sitamgar kahe baghair | Shaahi Shayari
fariyaad aur tujhko sitamgar kahe baghair

Ghazal

Fariyaad aur tujhko sitamgar kahe baghair

shauq Qidvai

;

fariyaad aur tujh ko sitamgar kahe baghair
manun na hashr mein tere munh par kahe baghair

dekho ye rang-e-ruKH ka shagufa ki mera ishq
zahir hua hai kahne se baDh kar kahe baghair

munh dekhta hi rah gaya kahne ko jab gaya
palTa main haalat-e-dil-e-muztar kahe baghair

pakDo meri zaban to surat se hoshiyar
kholegi raaz ye sar-e-mahshar kahe baghair

hakla ke aaj main ne kaha us se apna shauq
taskin-e-dil hui na mukarrar kahe baghair

sunne ko tum kaho to mere dil ki ek baat
barson se phir rahi hai zaban par kahe baghair

karta hai har sawal ye hujjat ki mashq wo
koi jawab hi nahin kyunkar kahe baghair

mashuq hi to kitna hi bad-tar hua is ka jaur
banti nahin hai baat hi behtar kahe baghair

mana ki dil shikan thin sar-e-bazm phabtiyan
lekin na rah saka koi mujh par kahe baghair

main ye samajh gaya ki wo ghar mein nahin hai aaj
darban ne KHud hi khol diya dariya kahe baghair

kya kya kahe hain sher hasinon ke wasf mein
kya 'shauq' ho gaya hai suKHnawar kahe baghair