اردو हिंदी
Farishte imtihan-e-bandagi mein humse kam nikle | Shaahi Shayari
farishte imtihan-e-bandagi mein humse kam nikle

Ghazal

Farishte imtihan-e-bandagi mein humse kam nikle

Zia Fatehabadi

;

farishte imtihan-e-bandagi mein hum se kam nikle
magar ek jurm ki padash mein jannat se hum nikle

gham-e-duniya-o-din un ko na fikr-e-nek-o-bad un ko
mohabbat karne wale be-niyaz-e-besh-o-kam nikle

gharaz kabe se thi jin ko na tha matlab kalisa se
had-e-dair-o-haram se bhi wo aage do-qadam nikle

sahar ki manzil-e-raushan pe ja pahunche wo diwane
shab-e-tarik mein jo nur ka le kar alam nikle

mah-o-KHurshid ban kar aasmanon par hue raushan
do aansu wo meri aankhon se jo sham-e-alam nikle

sukut-e-shab mein hum ne ek rangin KHwab dekha tha
masarrat jawedan hogi agar tabir-e-gham nikle

na milti hon sharab-e-zindagi ki talKHiyan jin mein
suna hai wo 'ziya' ke dil se aise sher kam nikle