farebon se na bahlega dil-e-ashufta-kaam apna
ba-zahir muskura kar dekhne wale salam apna
kisi ki bazm ke haalat ne samjha diya mujh ko
ki jab saqi nahin apna to mai apni na jam apna
agar apne dil-e-betab ko samjha liya main ne
to ye kafir nigahen kar sakengi intizam apna
mukammal kar gaya jal kar hayat-e-gham ko parwana
aur ek hum the ki afsana bhi chhoDa na-tamam apna
jahan-e-ishq mein aise maqamon se bhi guzra hun
ki baz-auqat KHud karna paDa hai ehtiram apna
main diwana sahi lekin wo KHush-qismat hun ai 'mahshar'
ki duniya ki zaban par aa gaya hai aaj nam apna
Ghazal
Farebon se na bahlega dil-e-ashufta-kaam apna
Mahshar Inayati