fareb-rang na de jalwa-e-bahaar mujhe
aziz-tar hain chaman mein gulon se KHar mujhe
meri KHataon pe ye baz-purs malik-e-hashr
ata hua tha kabhi dil pe iKHtiyar mujhe
ye un ki yaad ye tufan-e-rang-o-bu tauba
mili to dard mein Dubi hui bahaar mujhe
ab us maqam pe manzil hai dard-e-paiham ki
ki har taDap mein mili lazzat-e-qarar mujhe
chaman mein rah ke ye mahrumiyan muqaddar ki
ki main bahaar ko dekha karun bahaar mujhe
KHuda kabhi na dikhae wo roz-e-bad 'qaisar'
ki aae jalwa-e-baatil ka eatibar mujhe
Ghazal
Fareb-rang na de jalwa-e-bahaar mujhe
Qaisar Umrao Tovi