اردو हिंदी
Fareb kha ke bhi sharminda-e-sukun na hue | Shaahi Shayari
fareb kha ke bhi sharminda-e-sukun na hue

Ghazal

Fareb kha ke bhi sharminda-e-sukun na hue

Baqar Mehdi

;

fareb kha ke bhi sharminda-e-sukun na hue
na kam hua kisi manzil pe walwala dil ka

ye soch kar teri mahfil se hum chale aae
ki ek bar to baDh jae hausla dil ka

palaT ke ab na kabhi lucknow se guzrega
nikal gaya hai bahut dur qafila dil ka

harif-e-ishq koi ho harif-e-gham to nahin
kisi se ho na sakega muqabla dil ka

koi kisi ka nahin ham-zaban zamane mein
karen to kis se karen ja ke ab gila dil ka

shikast khane ka yara nahin pa kya kije
ek ajnabi se paDa hai muqabla dil ka

tumhaari nazr bhi lae jo hum to kya lae
zara sambhaal ke rakhna ye aabla dil ka