fareb gham hi sahi dil ne aarzu kar li
bura hi kya hai agar teri justuju kar li
ghalat hai jazba-e-dil par nahin koi ilzam
KHushi mili na hamein jab to gham ki KHu kar li
biTha ke samne tum ko bahaar mein pi hai
tumhaare rind ne tauba bhi ru-ba-ru kar li
wafa ke nam se Darta hun ai shah-e-KHuban
tum aae bhi to nazar jaanib subu kar li
kahan se aaenge andaz be-panahi ke
abhi se jeb-e-tamanna agar rafu kar li
zamana de na saka fursat-e-junun 'anjum'
bahut hua to ghaDi bhar ko ha-o-hu kar li
Ghazal
Fareb gham hi sahi dil ne aarzu kar li
Anjum Azmi