fareb-e-zar mohabbat-nagar khula hua hai
tumhaare KHwab ka mujh pe asar khula hua hai
main uD raha hun falak ta falak KHumar mein yun
ki mujh pe ek jahan-e-digar khula hua hai
ajib sada-dili hai meri tabiat mein
chala safar pe hun raKHt-e-safar khula hua hai
main jaanta hun ki kya hai ye aagahi ka azab
jo harf harf meri zat par khula hua hai
kahan khuli hain abhi us ki hairaten mujh par
jo ek jahan wara-e-nazar khula hua hai
ek intizar mein qaem hai is charagh ki lau
ek ehtimam mein kamre ka dar khula hua hai
Ghazal
Fareb-e-zar mohabbat-nagar khula hua hai
Abdurrahman Wasif