fareb-e-rah-e-mohabbat ka aasra bhi nahin
main ja raha hun magar koi rasta bhi nahin
har ek kahta hai rah-e-wafa hai na-hamwar
magar KHulus se ek aadmi chala bhi nahin
kisi ke ek ishaare pe do-jahan raqsan
mere liye meri zanjir ki sada bhi nahin
ajib turfagi-e-shauq hai ki su-e-adam
gai hai KHalq magar koi naqsh-e-pa bhi nahin
ye Thik hai ki wafa se nahin lagaw use
magar sitam to yahi hai ki bewafa bhi nahin
koi maqam ho ek aasra to hota hai
wo yun badal gae jaise mera KHuda bhi nahin
Ghazal
Fareb-e-rah-e-mohabbat ka aasra bhi nahin
Waheed-ul-Hasan Hashmi