اردو हिंदी
Fareb-e-nau ke bhanwar mein utarta hai mujhe | Shaahi Shayari
fareb-e-nau ke bhanwar mein utarta hai mujhe

Ghazal

Fareb-e-nau ke bhanwar mein utarta hai mujhe

Mahendra Partap Chand

;

fareb-e-nau ke bhanwar mein utarta hai mujhe
ye kaun pichhle pahar phir pukarta hai mujhe

shikasta-haal hun ranj-o-alam se chur hun main
nigah-e-lutf se ab kya sanwarta hai mujhe

nazar ye apni chaDhata hun jis qadar us ko
usi qadar wo nazar se utarta hai mujhe

main kab ka Dub chuka hun use KHabar hi nahin
jo sahilon se abhi tak pukarta hai mujhe

usi ki yaad hai meri hayat ka hasil
jo be-niyaz taghaful se marta hai mujhe

main sulh-o-amn ka shaidai hun mere rahbar
fasad-o-fitna pe tu kyun ubhaarta hai mujhe

mila hai muddaton ke baad kuchh gharaz hogi
kis inkisar se dekho nihaarta hai mujhe

use main KHas karam mein shumar karta hun
jo tu marahil-e-gham se guzarta hai mujhe

wo chahta hai guhar-yab ho ke ubhrun main
samundaron ki jo tah tak utarta hai mujhe

punam ki raat ka ye faiz nur-afshan 'chand'
kisi hasin KHata par ubhaarta hai mujhe