fareb-e-jalwa kahan tak ba-ru-e-kar rahe
naqab uThao ki kuchh din zara bahaar rahe
KHarab-e-shauq rahe waqf-e-intizar rahe
ab aur kya tere wadon ka e'tibar rahe
main raaz-e-ishq ko ruswa karun maaz-allah
ye baat aur hai dil par na iKHtiyar rahe
chaman mein rakh to raha hun bina nasheman ki
KHuda kare ki zamana bhi sazgar rahe
junun ka ruKH hai harim-e-hayat ki jaanib
ilahi parda-e-auham-e-e'tibar rahe
Ghazal
Fareb-e-jalwa kahan tak ba-ru-e-kar rahe
Akhtar Ali Akhtar