fareb-e-husn nazar ka dikhai deta hai
hamein har ek jo achchha dikhai deta hai
shuur-e-gham ke dariche to wa karo yaro
fasil-e-shab pe ujala dikhai deta hai
yahan sab apni saliben uThae phirte hain
har ek shaKHs masiha dikhai deta hai
hamare dard ko paDh lo khuli kitab hain hum
har ek chehra ye kahta dikhai deta hai
'shamim' aaiye fikr-e-suKHan-shiar karen
yahi farar ka rasta dikhai deta hai
Ghazal
Fareb-e-husn nazar ka dikhai deta hai
Mukhtar Shameem