اردو हिंदी
Fareb de na kahin azm-e-mustaqil mera | Shaahi Shayari
fareb de na kahin azm-e-mustaqil mera

Ghazal

Fareb de na kahin azm-e-mustaqil mera

Hamid Allahabadi

;

fareb de na kahin azm-e-mustaqil mera
hujum-e-yas se ghabra na jae dil mera

ye kis maqam pe pahuncha diya mohabbat ne
ki mere bas mein nahin hai KHud aaj dil mera

mubarak aish ka mahaul KHush-nasibon ko
bahut hai mere liye dard-e-mustaqil mera

sun ai nigah-e-mohabbat se ruThne wale
tere KHayal mein gum hai sukun-e-dil mera

mere gunahon ka anjam sochne wale
ye dekh kahta hai kya ashk-e-munfail mera

do-chaar tinkon ki duniya ajib duniya thi
ki mutmain tha har ek tarah jis mein dil mera

ummid-e-lutf kisi aur se ho kya 'hamid'
hua na jab ki mohabbat mein mera dil mera