اردو हिंदी
Fard ko asr ki raftar liye phirti hai | Shaahi Shayari
fard ko asr ki raftar liye phirti hai

Ghazal

Fard ko asr ki raftar liye phirti hai

Syed Hamid

;

fard ko asr ki raftar liye phirti hai
jins ko garmi-e-bazar liye phirti hai

par-e-parwaz se inkar nahin hai lekin
kijiye ghaur to minqar liye phirti hai

us ki qismat mein rasai na sahi aashiq ko
hasrat-e-lazzat-e-izhaar liye phirti hai

talib-e-ilm ko idrak-e-fazilat ke bajae
KHwahish-e-turra-o-dastar liye phirti hai

donon Tangon ka ishaara hai ki gardish hum ko
har taraf surat-e-parkar liye phirti hai

ek lamhe ke liye bhi nahin milta hai sukun
gardish-e-gumbad-e-dawwar liye phirti hai

hathkaDi jaise lagate hain asiron ko wo zulf
kar ke halqe mein giraftar liye phirti hai

tauf mein fart-e-tarab se hai zamin charKH-e-zanan
saya-e-gesu-o-ruKHsar liye phirti hai

jism ke bojh ko aaghaz se anjam talak
garche hai ruh giran-bar liye phirti hai

is ko Thahrae hue qasr-e-baqa ki buniyaad
zindagi sans ka ek tar liye phirti hai