fard-e-isyan ko wo siyahi de
jis ki wo zulf bhi gawahi de
be-aman nim-jaan hun meri jaan
mujh ko aaghosh-e-jaan-panahi de
apni zulfon ke sae mein mujh ko
ek shab ki sitara-jahi de
dil ke ujDe nagar ko kar aabaad
is Dagar ko bhi koi rahi de
main ne tamir qasr-e-shauq kiya
tu ise muzhda-e-tabahi de
baKHshne wale gul-ruKHon ko jamal
mujh ko saman-e-KHush-nigahi de
main asir-e-guman-e-zulmat hun
etamad-e-sahar-e-nigahi de
mujrim-e-ishq hun mujhe 'sahba'
jo saza de wo be-gunahi de
Ghazal
Fard-e-isyan ko wo siyahi de
Sahba Akhtar